Tuesday, December 11, 2007

अरसा हो गया था कुछ भी ब्लोग किये हुए तो सोचा कुछ लीख देते है
तो आप लोगो के समक्ष मै अपनी नयी रचना लेके हाजिर हुआ हूँ
उम्मीद है आपको पसंद आएगी


कोई नाम दूं

सोचता हूँ तुम्हे कोई नाम दूं
सोचता हूँ मगर क्या नाम दूं

रूबरू पाके तुमको मै हैरान हूँ
ख्वाब को अपने मै क्या नाम दूं

दिल कहूं या धड़कन कह दूं
ज़िंदगी जैसा तुमको कोई नाम दूं

अदा कहूं नजाकत कह दूं
शोखी भरा कोई नाम दूं

बादल कहूं या बरखा कह दूं
बरसती मेघा सा कोई नाम दूं

आँचल कहूं पुरवा कह दूं
महकती 'खुशबु ' सा कोई नाम दूं

इश्क है तुमसे तुमसे यह चाहता हूँ
'प्यार ' जैसा तुम्हे कोई नाम दूं







Wednesday, August 22, 2007

Toh Phir Marna Kya

Ghut ghut kar yun ashqon ko peena kya
Yahi hai gar jeena to phir marna kya

Ek dil hi nahi wazah is dariyaa-e-gam ka
Phir bhi magar gam-e-mohobbat ka kehanaa kya

Samjhta hi nahi jo haal-e-dil mera
Aise kaafir se aakhir dil lagaanaa kya

Tera hi naam leke baarhaa nam ho jaati hai
Inn naasamajh nighaon ko baarhaa samjhana kya

De nahi sakte gar meri rooh ko sukoon
Toh tumhaaraa hona kya na hona kya

Bedil ke dil pe "PyaR" ki ibaarat jaise
Reth par tera naam likhna kya na likhna kya


~PyaR~

Thursday, July 12, 2007

Deewaani si raat mili

Unki jabse dil ko sohbaat mili
Deewaane ko yeh qaaynaat mili

Woh phir muqhatib huye hamse
Phir hamko apni chahat mili

Deedar-e-yaar par yun chalki aankhein
Sehra ko jaise barsaat mili

Gunguna raha hai zarra zarra
Arse baad deewaani raat mili

Huyi waabastaa unse jo nighahein
Gumshuda si ek hasrat mili

Jhonka ban lehraaya jo aanchal
'PyaR' ko phir raahat mili

~PyaR~


Gazalnaama

Doston....
Blogs ne mujhe apne aap ko vyakth karne ka ek anutha
madhyam diya hai.Gazalnaama bhi isi shrinkhala ko aage
badha raha hai.

Gazalnaama mein mai aapke saamne apni kuch gazlein
prastut karunga. Umeed hai mere pathakgan niraash nahi
honge.

Aur aap sab jo yahan tak aaye aur apna kimati waqt diya
un sabhi ko mera tahedil se shukriya.